#poetry #hindi Kahaan kho gaya woh ladka, jo kad mein tha mujhse kum Kahaan kho gaya woh ladka, jiski mujhse thi dubli baahein Kahaan kho gaya woh ladka, jo zulfon me hawaon ko karta tha kaid Kahaan kho gaya woh ladka, jo nangi aakhon se dekh paata tha dur Kahaan kho gaya woh ladka, Jise log mere naam se pukaarte hain Kahaan kho gaya woh ladka, Jo beete dino mein, mai tha kabhi Kabhi dikhe kahin toh batana, Bohot arsey se nahi hui hai mulakat Ek baar fir aangan me laite, udte